SHIRK

SURAH AN'NIISA #4 AYAT#116
'be'shak Allah nahi bakhshata isko jo iska shareek karay kisi ko or bakhshata hai isk sewaa jis ko chaha.'or jisne shareek tharaya Allah ka wo behak kar dor jay parah.

SURAH AL AARAF#7
AYAT# 191.
'kya shareek banatay hain asauon ko jo paida na karn ek cheez b or wo paida howay hain.'

Surah aaraf #7
Ayat # 194
'jinko tum khuda k saywa pukarta ho wo tumeri tar k banda hi hain acha tum in ko pukaro agar suchay ho to chahiy k wo tum ko jawab b dan.

'ALLAH jisko chahta hai Suna deta hai, Or tum unko jo Qabron main Madfoon hain Suna nahi saktay'
(surah:Fatir,ayat#22)

'Is shaks se barh ker kon ghumrah hoga jo ALLAH ko chor ker inhain pukarta hai, jo Qayamat tak ise jawab nahi de sakte, bel'k woh inki pukar se he be-khaber hain.
(Al-Ahkaf,ayat#5)

Surah yunas #10
ayat # 18
'or parastish karta hain ALLAH k saywa us cheez ki jo na nuksan punchay sakay unko na nafah or kha'tay hain ye to humera sefarishi hain Allah k pass.'

Surah zumar#39
Ayat#45
'or jab tanha khuda ka ziker keya jata hai tu jo log akhirat per eman nahi rakhta ink dil munkabez ho jata hain.or jab isk saywa oron ka ziker keya jata hai to khush ho jata hain'.

Surah maida #5
ayat# 72
'be-shak jisne shareek tharaya Allah ka so haram ki Allah ne is per jannat or iska thekana dozakh hai'.

Surah yusuf #12
ayat# 106
'or ye akser khuda per eman nahi rakhtay'magar isk sath shirk karta hain.'

Surah Luqman#31
ayat# 13
'ay mera betay!ALLAH K sath kisi ko shareek na karna beshak shirk bara zulm hai'

Surah baqara#2
ayat#165
'or baz log wo hain jo banata hain Allah k barabar oron ko.inki muhabut asi rakhta hain jase muhabut Allah ki.or eman walon ko usse zeayda'tarh hai muhabut Allah ki.

Hazrat insa R.A se marfuaan riywaet hai:k ALLAH'TALA is dozakhi se farmaye ga jisko sab se kam azaab deya ja rah hoga k agar tujah dunyia ka sara sazo'samaan da deya jay tu kya tu azaab se bechna k liye ine fideya me da day ga?jawab deya:hain!ALLAH'TALA farmaye ga:maine tuj se iski nesbet buth tora mutalbay keya tha jab k tu adem a.s ki peet me tha k mera sath kisi ko shareek na karna lakin tu shirk per hi datta rahha.
{sahi-bukhari}
{hadis#3334}

Rasool'ALLAH s.a.w.w ne farmaye:k jo shakhs is halat me maray k wo kisi ko Allah ka mad'muqabil tharayta tha to jahanam me dakhil hoga.
{SAHI-BUKHARI}
{hadis # 4497}

Hazrat abu'bakar R.A se rewayet hai rasool'ullah s.a.w.w ne farmaye:kya main tumein buth baray kabira'gunah na bataon ?hum arrz gozar howay k ya'rasool Allah! Kyun nahi.farmaye:"k Allah k sath shareek karna".or waldan ki nafarmaniy karna.
{SAHI-BUKHARI}
{HADIS # 5976}

Hazrat abu hurayra R.A se rewayat hai k Rasool'Allah s.a.w.w ne farmaye:halak karna wali cheezon se bachta raho or wo'shirk or jaadu'hain.'




New category

20/06/2011 10:32

urdu quran= mobile software

www.shaplus.com  <is wabsite per jayen or full urdu quran apna mobile me download karn ..

Read more

—————